Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega

Khanjar Ghazipuri

aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega

Khanjar Ghazipuri

MORE BYKhanjar Ghazipuri

    aadmī ḳhud ko bhalā kaise bachā le jā.egā

    jis jagah marnā hai us ko hādisa le jā.egā

    maiñ agar tūfān se bach bhī gayā to kyā huā

    merī kashtī ko bhañvar meñ nā-ḳhudā le jā.egā

    aaj phir zaḳhm-e-jigar taaza hai pahle tarah

    aaj phir mujh ko tirā ġham mai-kada le jā.egā

    aaḌ meñ tafrīh tum chhoḌ do aiyyāshiyāñ

    varna phir paanī samundar bahā le jā.egā

    aadmī ke saath jā.eñge faqat us ke amal

    aur apne saath vo duniyā se kyā le jā.egā

    kis liye fariyād le ke jā.ūñ maiñ munsif ke paas

    jab sitamgar apne haq meñ faisla le jā.egā

    soch ai insāñ tirī hastī hai kitnī bisāt

    tujh ko jab tūfāñ ik jhoñkā uḌā le jā.egā

    us ke sar pe āfiyat sā.ebāñ hogā zarūr

    saath jo ḳhanjar buzurgoñ duā le jā.egā

    aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega

    jis jagah marna hai us ko hadisa le jaega

    main agar tufan se bach bhi gaya to kya hua

    meri kashti ko bhanwar mein na-KHuda le jaega

    aaj phir zaKHm-e-jigar taza hai pahle ki tarah

    aaj phir mujh ko tera gham mai-kada le jaega

    aaD mein tafrih ki tum chhoD do aiyyashiyan

    warna phir pani samundar ka baha le jaega

    aadmi ke sath jaenge faqat us ke amal

    aur apne sath wo duniya se kya le jaega

    kis liye fariyaad le ke jaun main munsif ke pas

    jab sitamgar apne haq mein faisla le jaega

    soch ai insan teri hasti ki hai kitni bisat

    tujh ko jab tufan ka ek jhonka uDa le jaega

    us ke sar pe aafiyat ka saeban hoga zarur

    sath jo KHanjar buzurgon ki dua le jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now