aag dil ko lage aankhon ko dhuan le jae
aag dil ko lage āñkhoñ ko dhuāñ le jaa.e
ġham bichhaḌne kā hameñ jaane kahāñ le jaa.e
ek TuuTe hue patte kī tarah haiñ ham bhī
ab havā chāhe jahāñ ham ko vahāñ le jaa.e
ham tire dukh ko uThā.e hue yuuñ phirte haiñ
jaise kāñdhe pe koī apnā makāñ le jaa.e
ham jo Dūbeñ to kināre se na dekhe koī
aur kuchh duur hameñ āb-e-ravāñ le jaa.e
koī chehra hai nazar meñ na koī manzil hai
bas chale jā.eñge ye raah jahāñ le jaa.e
jaane kis vaqt badal jaa.e bahāroñ kā samāñ
aur mahke hue phūloñ ko ḳhizāñ le jaa.e
jis taraf jā.iye sailāb-zada hai duniyā
koī rakhne ko kahāñ apnā makāñ le jaa.e
aag dil ko lage aankhon ko dhuan le jae
gham bichhaDne ka hamein jaane kahan le jae
ek TuTe hue patte ki tarah hain hum bhi
ab hawa chahe jahan hum ko wahan le jae
hum tere dukh ko uThae hue yun phirte hain
jaise kandhe pe koi apna makan le jae
hum jo Duben to kinare se na dekhe koi
aur kuchh dur hamein aab-e-rawan le jae
koi chehra hai nazar mein na koi manzil hai
bas chale jaenge ye rah jahan le jae
jaane kis waqt badal jae bahaaron ka saman
aur mahke hue phulon ko KHizan le jae
jis taraf jaiye sailab-zada hai duniya
koi rakhne ko kahan apna makan le jae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 96)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.