aaj ikaTTha kar ke ishq ke maron ko
aaj ikaTThā kar ke 'ishq ke māroñ ko
gher liyā hai ham ne duniyā-dāroñ ko
saath ke saare qaidī aisā kahte the
ham ne bhī ghar maan liyā dīvāroñ ko
achchhe ho kar lauT ga.e sab ghar lekin
maut kā chehra yaad rahā bīmāroñ ko
dhaar ko parkhā zang ke dhabbe saaf kiye
phir baiThak meñ Taañg diyā talvāroñ ko
jaao apne hisse ke tum ‘aish karo
'ishq meñ ham bhī bhuul ga.e the yāroñ ko
mere 'alāva kaun jagāne aatā hai
pichhle pahar ke so.e hue bāzāroñ ko
sub.h kā matlab sub.h kā pahlā cigarette thā
vo bhī ab lā-hāsil hai bīmāroñ ko
aaj ikaTTha kar ke 'ishq ke maron ko
gher liya hai hum ne duniya-daron ko
sath ke sare qaidi aisa kahte the
hum ne bhi ghar man liya diwaron ko
achchhe ho kar lauT gae sab ghar lekin
maut ka chehra yaad raha bimaron ko
dhaar ko parkha zang ke dhabbe saf kiye
phir baiThak mein Tang diya talwaron ko
jao apne hisse ke tum ‘aish karo
'ishq mein hum bhi bhul gae the yaron ko
mere 'alawa kaun jagane aata hai
pichhle pahar ke soe hue bazaron ko
subh ka matlab subh ka pahla cigarette tha
wo bhi ab la-hasil hai bimaron ko
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 57)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.