aankh se aansu to dil se Dar uTha kar le gaya
aañkh se aañsū to dil se Dar uThā kar le gayā
ek manzar saare pas-manzar uThā kar le gayā
kis ne pahchānā yahāñ in kor-bīnoñ meñ mujhe
kaun merā lāsha-e-be-sar uThā kar le gayā
mil gayā mujh meñ jise jo chāhiye thā aur phir
koī hiire aur koī patthar uThā kar le gayā
merī āñkheñ shahr ke kūza-garoñ meñ baT ga.iiñ
merā siina ek āhan-gar uThā kar le gayā
jis se ik patthar na uTh paatā thā ab vo nā-tavāñ
uñgliyoñ par 'ishq kā ḳhaibar uThā kar le gayā
saare manzar saath us ke 'umr bhar chalte rahe
apne kāñdhoñ par vo apnā ghar uThā kar le gayā
aankh se aansu to dil se Dar uTha kar le gaya
ek manzar sare pas-manzar uTha kar le gaya
kis ne pahchana yahan in kor-binon mein mujhe
kaun mera lasha-e-be-sar uTha kar le gaya
mil gaya mujh mein jise jo chahiye tha aur phir
koi hire aur koi patthar uTha kar le gaya
meri aankhen shahr ke kuza-garon mein baT gain
mera sina ek aahan-gar uTha kar le gaya
jis se ek patthar na uTh pata tha ab wo na-tawan
ungliyon par 'ishq ka KHaibar uTha kar le gaya
sare manzar sath us ke 'umr bhar chalte rahe
apne kandhon par wo apna ghar uTha kar le gaya
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 104)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.