aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya
āshnā kitnā zabāñ ko be-zabānī se kiyā
zindagī karne ko kyā kuchh zindagānī se kiyā
mausam-e-gul meñ kiyā malbūs banñe kā amal
be-libāsī kā amal barg-e-ḳhizānī se kiyā
kaun hai vo jis ne banjar ḳhushk ḳhittoñ kā ilaaj
dekhte hī dekhte ik saada paanī se kiyā
sub.h ke jaage masāfat se thake dariyā ne phir
shaam hote hī ta.alluq kam ravānī se kiyā
ye vahī thā kaise pahchānā use muddat ke ba.ad
maiñ ye pal bhar meñ usī kī ik nishānī se kiyā
rog thī 'shāhīñ' zamīñ kī tañgī-e-paiham mujhe
ye mudāvā maiñ ne bas naql-e-makānī se kiyā
aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya
zindagi karne ko kya kuchh zindagani se kiya
mausam-e-gul mein kiya malbus banne ka amal
be-libasi ka amal barg-e-KHizani se kiya
kaun hai wo jis ne banjar KHushk KHitton ka ilaj
dekhte hi dekhte ek sada pani se kiya
subh ke jage masafat se thake dariya ne phir
sham hote hi talluq kam rawani se kiya
ye wahi tha kaise pahchana use muddat ke baad
main ye pal bhar mein usi ki ek nishani se kiya
rog thi 'shahin' zamin ki tangi-e-paiham mujhe
ye mudawa main ne bas naql-e-makani se kiya
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 532)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.