aatish-e-tab ne ki hai tab shuru
ātish-e-tab ne kī hai taab shurū'
tū bhī kar dīda-e-pur-āb shurū'
kyuuñ na abtar ho āñsuoñ se chashm
kī hai laḌkoñ ne ye kitāb shurū'
shab maiñ chāhā karūñ kuchh us se savāl
bin sune hī kiyā javāb shurū'
sarfa-e-ḳhushk bhī hai ik hiila
karnī zāhid ko thī sharāb shurū'
naam sunte hī us kā bas 'qā.em'
phir kyā tū ne iztirāb shurū'
aatish-e-tab ne ki hai tab shuru'
tu bhi kar dida-e-pur-ab shuru'
kyun na abtar ho aansuon se chashm
ki hai laDkon ne ye kitab shuru'
shab main chaha karun kuchh us se sawal
bin sune hi kiya jawab shuru'
sarfa-e-KHushk bhi hai ek hila
karni zahid ko thi sharab shuru'
nam sunte hi us ka bas 'qaem'
phir kya tu ne iztirab shuru'
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.