ab ke jab KHwahish-e-sila hi nahin
ab ke jab ḳhvāhish-e-sila hī nahīñ
is zamāne se kuchh gila hī nahīñ
chāñd puurā khilā to hai lekin
ruḳh kā tere muqābla hī nahīñ
kaise māneñ bahār aa.ī hai
terā chehrā abhī khilā hī nahīñ
dard-e-dilbar bhī dard-e-dahr bhī hai
kaise kah deñ ki kuchh milā hī nahīñ
ab to chāk-e-kafan hī sil jaa.e
zaḳhm-e-dil to 'sadā' silā hī nahīñ
ab ke jab KHwahish-e-sila hi nahin
is zamane se kuchh gila hi nahin
chand pura khila to hai lekin
ruKH ka tere muqabla hi nahin
kaise manen bahaar aai hai
tera chehra abhi khila hi nahin
dard-e-dilbar bhi dard-e-dahr bhi hai
kaise kah den ki kuchh mila hi nahin
ab to chaak-e-kafan hi sil jae
zaKHm-e-dil to 'sada' sila hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.