ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai
ab tak mire ahvāl se vaañ be-ḳhabarī hai
ai nāla-e-jāñ-soz ye kyā be-asarī hai
ho jaave hai us kī saf-e-mizhgāñ se muqābil
is dil ko mire dekhiyo kyā be-jigarī hai
kis baaġh se aatī hai batā mujh ko ki phir aaj
kuchh aur hī bū tujh meñ nasīm-e-saharī hai
terā hī talabgār hai dil donoñ jahāñ meñ
ne huur kā juuyā hai ne mushtāq-e-parī hai
hai aur hī kuchh āb-o-havā shahr-e-adam kī
har shaḳhs jo 'bedār' udhar ko safarī hai
ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai
ai nala-e-jaan-soz ye kya be-asari hai
ho jawe hai us ki saf-e-mizhgan se muqabil
is dil ko mere dekhiyo kya be-jigari hai
kis bagh se aati hai bata mujh ko ki phir aaj
kuchh aur hi bu tujh mein nasim-e-sahari hai
tera hi talabgar hai dil donon jahan mein
ne hur ka juya hai ne mushtaq-e-pari hai
hai aur hi kuchh aab-o-hawa shahr-e-adam ki
har shaKHs jo 'bedar' udhar ko safari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.