ab to baqi hai yahi samt-e-safar chalta hun
ab to baaqī hai yahī samt-e-safar chaltā huuñ
aaj maiñ bhī taraf-e-dīda-e-tar chaltā huuñ
sochnā kyā hai agar dasht-e-zamīñ ḳhatm huā
mere dil meñ bhī to sahrā hai udhar chaltā huuñ
āḳhirī rang havāoñ se banā.ūñ kab tak
ruḳhsat ai mausam-e-be-rang-o-samar chaltā huuñ
raah meñ chhūTte jaate haiñ mulāqāt ke bojh
jaane kyoñ le ke ye sāmān-e-safar chaltā huuñ
ghar se niklā thā ki sahrā kā tamāsha dekhūñ
jab yahāñ bhī vahī naqsha hai to ghar chaltā huuñ
ab to baqi hai yahi samt-e-safar chalta hun
aaj main bhi taraf-e-dida-e-tar chalta hun
sochna kya hai agar dasht-e-zamin KHatm hua
mere dil mein bhi to sahra hai udhar chalta hun
aaKHiri rang hawaon se banaun kab tak
ruKHsat ai mausam-e-be-rang-o-samar chalta hun
rah mein chhuTte jate hain mulaqat ke bojh
jaane kyon le ke ye saman-e-safar chalta hun
ghar se nikla tha ki sahra ka tamasha dekhun
jab yahan bhi wahi naqsha hai to ghar chalta hun
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 115)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.