achchhi-achchhi baaten duniya-dari wali
achchhī-achchhī bāteñ duniyā-dārī vaalī
ham se mat kar pyāre baat hamārī vaalī
dil aisā vīrān ki jaise koī sahrā
ghar meñ halchal shādī kī tayyārī vaalī
vahm nahīñ ye jis se apnā dhyān haTā lo
pakkī sachchī maut hai ye bīmārī vaalī
ḳhvāb meñ tujh ko yuuñ chhūne se Dartā huuñ maiñ
ye ḳhvāhish hai terī hisse-dārī vaalī
vasl kā din hai aaj to chhoḌo 'aql chalānā
kal kar leñge bāteñ ham hushyārī vaalī
achchhi-achchhi baaten duniya-dari wali
hum se mat kar pyare baat hamari wali
dil aisa viran ki jaise koi sahra
ghar mein halchal shadi ki tayyari wali
wahm nahin ye jis se apna dhyan haTa lo
pakki sachchi maut hai ye bimari wali
KHwab mein tujh ko yun chhune se Darta hun main
ye KHwahish hai teri hisse-dari wali
wasl ka din hai aaj to chhoDo 'aql chalana
kal kar lenge baaten hum hushyari wali
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 59)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.