Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai asiran-e-tilism-e-shab-e-gham so jao

Mahir Al-Hameedi

ai asiran-e-tilism-e-shab-e-gham so jao

Mahir Al-Hameedi

MORE BYMahir Al-Hameedi

    ai asīrān-e-tilism-e-shab-e-ġham so jaao

    sham-e-ummīd lo ho ga.ī kam so jaao

    chāñd-tāroñ chamak ho ga.ī kam so jaao

    sarhad-e-sub.h meñ haiñ shab ke qadam so jaao

    ab na jaago kisī guzrī huī shab yaado

    tum ko ham jāgne vāloñ qasam so jaao

    bujh ga.ī sham.a bhī parvāne bhī dam toḌ chuke

    un ke aane ab ummīd hai kam so jaao

    DabDabā.ī huī āñkho tumheñ ashkoñ qasam

    khul na jaa.e kahīñ ulfat bharam so jaao

    ġham ke māroñ ko sukūñ miltā hai maiḳhāne meñ

    jaao chheḌo na hameñ shaiḳh-e-haram so jaao

    dil dhaḌakne bhī āvāz hai sākit 'māhir'

    ab nahīñ koī sharīk-e-shab-e-ġham so jaao

    ai asiran-e-tilism-e-shab-e-gham so jao

    sham-e-ummid ki lo ho gai kam so jao

    chand-taron ki chamak ho gai kam so jao

    sarhad-e-subh mein hain shab ke qadam so jao

    ab na jago kisi guzri hui shab ki yaado

    tum ko hum jagne walon ki qasam so jao

    bujh gai shama bhi parwane bhi dam toD chuke

    un ke aane ki ab ummid hai kam so jao

    DabDabai hui aankho tumhein ashkon ki qasam

    khul na jae kahin ulfat ka bharam so jao

    gham ke maron ko sukun milta hai maiKHane mein

    jao chheDo na hamein shaiKH-e-haram so jao

    dil dhaDakne ki bhi aawaz hai sakit 'mahir'

    ab nahin koi sharik-e-shab-e-gham so jao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now