ai junun-e-ishq teri tang-dasti ki taraf
ai junūn-e-'ishq terī tang-dastī kī taraf
hasratoñ se tak rahe haiñ apnī hastī kī taraf
chāñd bhī fursat se thā to bātoñ bātoñ meñ yuñhī
ghuum aa.e ham tirī yādoñ kī bastī kī taraf
sochte haiñ phir sabhī but kā'ba-e-dil meñ rakheñ
lauT jaanā chāhte haiñ but-parastī kī taraf
is taraf se hai bulandī kī taraf jaatī huī
us taraf se raah jo aatī hai pastī kī taraf
jānte haiñ sab ki un ke haath par bai'at haiñ ham
hazrat-e-dil haiñ ab un āñkhoñ kī mastī kī taraf
ai junun-e-'ishq teri tang-dasti ki taraf
hasraton se tak rahe hain apni hasti ki taraf
chand bhi fursat se tha to baaton baaton mein yunhi
ghum aae hum teri yaadon ki basti ki taraf
sochte hain phir sabhi but ka'ba-e-dil mein rakhen
lauT jaana chahte hain but-parasti ki taraf
is taraf se hai bulandi ki taraf jati hui
us taraf se rah jo aati hai pasti ki taraf
jaante hain sab ki un ke hath par bai'at hain hum
hazrat-e-dil hain ab un aankhon ki masti ki taraf
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 114)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.