apne andar ke andhere ko jalaya maine
apne andar ke añdhere ko jalāyā maiñ ne
kaun kahtā hai ki tūfān uThāyā maiñ ne
tū mujhe zahr pilātī hai ye terā sheva
ai mirī raat tujhe ḳhuun pilāyā maiñ ne
is ḳharābe ke muqaddar meñ faqat sannāTā
apnī tanhā.ī ko ik jism banāyā maiñ ne
koī Takrā.e to is hijr-zada mausam meñ
raat jangal meñ bahut ḳhud ko jalāyā maiñ ne
apne andar ke andhere ko jalaya main ne
kaun kahta hai ki tufan uThaya main ne
tu mujhe zahr pilati hai ye tera shewa
ai meri raat tujhe KHun pilaya main ne
is KHarabe ke muqaddar mein faqat sannaTa
apni tanhai ko ek jism banaya main ne
koi Takrae to is hijr-zada mausam mein
raat jangal mein bahut KHud ko jalaya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.