apne markaz se kaT gaya hun main
apne markaz se kaT gayā huuñ maiñ
kitne hissoñ meñ baT gayā huuñ maiñ
vus.at-e-be-karāñ kā hissa thā
ik badan meñ simaT gayā huuñ meñ
ab bhī dushman haiñ log kyoñ mere
sab ke raste se haT gayā huuñ maiñ
kyā thā maqsad jahāñ meñ aane kā
yuuñ hī aa kar palaT gayā huuñ maiñ
dekh kar bevafā.ī duniyā kī
Dar ke ḳhud se lipaT gayā huuñ maiñ
merī hastī thī ik ġhubāre sī
kyoñ ho rote jo phaT gayā huuñ maiñ
apne markaz se kaT gaya hun main
kitne hisson mein baT gaya hun main
wusat-e-be-karan ka hissa tha
ek badan mein simaT gaya hun mein
ab bhi dushman hain log kyon mere
sab ke raste se haT gaya hun main
kya tha maqsad jahan mein aane ka
yun hi aa kar palaT gaya hun main
dekh kar bewafai duniya ki
Dar ke KHud se lipaT gaya hun main
meri hasti thi ek ghubare si
kyon ho rote jo phaT gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.