apni aankhen tere chehre pe laga kar dekhun
apnī āñkheñ tire chehre pe lagā kar dekhūñ
aur phir apnā bikhartā huā manzar dekhūñ
niiñd aa.e to koī gosha-e-tanhā.ī bahut
paañv phailāne kī hasrat ho to chādar dekhūñ
kitnī rāteñ isī ḳhvāhish meñ bitā.īñ maiñ ne
chāñd nikle to zarā ghar se nikal kar dekhūñ
pesh jab kar hī chukā harf-e-aqīdat us ko
kyoñ na us haath pe īmān bhī lā kar dekhūñ
'aks shāyad hai salāmat pas-e-ā.īna-e-jāñ
apnī jānib ka.ī baḌhte hue lashkar dekhūñ
kaun is tishnagī-e-rūh-o-badan ko samjhe
biich sahrā meñ khaḌe ho ke samundar dekhūñ
mausam-e-sang-zanī kī hai ḳhabar garm 'jamāl'
dast-o-bāzū kabhī dekhūñ to kabhī sar dekhūñ
apni aankhen tere chehre pe laga kar dekhun
aur phir apna bikharta hua manzar dekhun
nind aae to koi gosha-e-tanhai bahut
panw phailane ki hasrat ho to chadar dekhun
kitni raaten isi KHwahish mein bitain main ne
chand nikle to zara ghar se nikal kar dekhun
pesh jab kar hi chuka harf-e-aqidat us ko
kyon na us hath pe iman bhi la kar dekhun
'aks shayad hai salamat pas-e-aina-e-jaan
apni jaanib kai baDhte hue lashkar dekhun
kaun is tishnagi-e-ruh-o-badan ko samjhe
bich sahra mein khaDe ho ke samundar dekhun
mausam-e-sang-zani ki hai KHabar garm 'jamal'
dast-o-bazu kabhi dekhun to kabhi sar dekhun
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 37)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.