Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asl surat chhupane wale bure

Shariq Kaifi

asl surat chhupane wale bure

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    asl sūrat chhupāne vaale bure

    har ghaḌī muskurāne vaale bure

    ik 'ajab kashmakash meñ paḌ gayā huuñ

    maiñ ki saare zamāne vaale bure

    tiir terā lage kisī ko to vaah

    tujh pe golī chalāne vaale bure

    sab nashsha utaar dete haiñ

    zor dam lagāne vaale bure

    kuchh hamārā bhī dhyān aur kahīñ

    kuchh kahānī sunāne vaale bure

    ek ik naam kyā ginā.ūñ maiñ

    sab tire saath jaane vaale bure

    husn zaat ek hotī hai

    tire sab gharāne vaale bure

    asl surat chhupane wale bure

    har ghaDi muskurane wale bure

    ek 'ajab kashmakash mein paD gaya hun

    main ki sare zamane wale bure

    tir tera lage kisi ko to wah

    tujh pe goli chalane wale bure

    sab ka nashsha utar dete hain

    zor ka dam lagane wale bure

    kuchh hamara bhi dhyan aur kahin

    kuchh kahani sunane wale bure

    ek ek nam kya ginaun main

    sab tere sath jaane wale bure

    husn ki zat ek hoti hai

    tu tere sab gharane wale bure

    Source :
    • Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 88)
    • Author : Shariq Kaifi
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now