awwal to rahe dur wo nalon se hamare
avval to rahe duur vo nāloñ se hamāre
paas aa.e to ghabrā.e savāloñ se hamāre
ye kahte haiñ bulbul se vo gul haath meñ le kar
tū dekh malā kar ise gāloñ se hamāre
kyā barhana-pā dasht meñ lākhoñ bhī na hoñge
kāñToñ ko magar chheḌ hai chhāloñ se hamāre
har vaqt na.ī dhun hai hameñ taaza tasavvur
jāoge kahāñ bach ke ḳhayāloñ se hamāre
kahtī haiñ vo āñkheñ saf-e-mizhgāñ ko baḌhā kar
hai kaun jo rū-kash ho risāloñ se hamāre
ai 'dāġh' falak dushman-e-arbāb-e-hunar hai
zālim ko ḳhabar ho na kamāloñ se hamāre
awwal to rahe dur wo nalon se hamare
pas aae to ghabrae sawalon se hamare
ye kahte hain bulbul se wo gul hath mein le kar
tu dekh mala kar ise galon se hamare
kya barhana-pa dasht mein lakhon bhi na honge
kanTon ko magar chheD hai chhaalon se hamare
har waqt nai dhun hai hamein taza tasawwur
jaoge kahan bach ke KHayalon se hamare
kahti hain wo aankhen saf-e-mizhgan ko baDha kar
hai kaun jo ru-kash ho risalon se hamare
ai 'dagh' falak dushman-e-arbab-e-hunar hai
zalim ko KHabar ho na kamalon se hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.