ba-maniyon se bach ke mohmal ki rah pakDi
bā-ma.aniyoñ se bach ke mohmal kī raah pakḌī
ham ne bil-āḳhir apne jañgal kī raah pakḌī
dil se dimāġh tak sab uljhā huā paḌā thā
āḳhir hue divāne aur hal kī raah pakḌī
us samt meñ jo dekhī kuchh tez raushnī sī
phir tīrgī-e-ḳhūñ ne maqtal kī raah pakḌī
tum ko liye phiregā 'ehsās' jañgaloñ meñ
tum ne bhī yaar kaise pāgal kī raah pakḌī
ba-maniyon se bach ke mohmal ki rah pakDi
hum ne bil-aKHir apne jangal ki rah pakDi
dil se dimagh tak sab uljha hua paDa tha
aaKHir hue diwane aur hal ki rah pakDi
us samt mein jo dekhi kuchh tez raushni si
phir tirgi-e-KHun ne maqtal ki rah pakDi
tum ko liye phirega 'ehsas' jangalon mein
tum ne bhi yar kaise pagal ki rah pakDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.