baadal is bar jo us shahr pe chhae hue hain
bādal is baar jo us shahr pe chhā.e hue haiñ
sab mire dīda-e-namnāk ke laa.e hue haiñ
rāste meñ nazar aate haiñ na pahuñche haiñ kahīñ
ham kisī beach ke manzar ke lubhā.e hue haiñ
badan-e-yār ye sab rañg tire apne haiñ
yā kisī dast-e-mohabbat ke lagā.e hue haiñ
kitne samjhaute havāoñ se kiye baiThe haiñ
jo sar-e-rāh charāġh apne jalā.e hue haiñ
baadal is bar jo us shahr pe chhae hue hain
sab mere dida-e-namnak ke lae hue hain
raste mein nazar aate hain na pahunche hain kahin
hum kisi beach ke manzar ke lubhae hue hain
badan-e-yar ye sab rang tere apne hain
ya kisi dast-e-mohabbat ke lagae hue hain
kitne samjhaute hawaon se kiye baiThe hain
jo sar-e-rah charagh apne jalae hue hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 104)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.