bagh-e-duniya mein nazar ghamnak ho kar rah gai
bāġh-e-duniyā meñ nazar ġhamnāk ho kar rah ga.ī
rang badle ḳhaak ne phir ḳhaak ho kar rah ga.ī
dāḳhil-e-schōl ho duḳhtar to kuchh hāsil kare
kyā natīja sirf agar bebāk ho kar rah ga.ī
vo taraqqī hai ki jo kar de shagufta misl-e-gul
vo kalī kyā jo garebāñ-chāk ho kar rah ga.ī
bagh-e-duniya mein nazar ghamnak ho kar rah gai
rang badle KHak ne phir KHak ho kar rah gai
daKHil-e-school ho duKHtar to kuchh hasil kare
kya natija sirf agar bebak ho kar rah gai
wo taraqqi hai ki jo kar de shagufta misl-e-gul
wo kali kya jo gareban-chaak ho kar rah gai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 116)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.