baDi gahri KHamoshi ho gai hai
baḌī gahrī ḳhamoshī ho ga.ī hai
hamārī chīḳh lambī ho ga.ī hai
vahī jiinā vahī marnā hai lekin
zarā tartīb ulTī ho ga.ī hai
musalsal rahte rahte aap ke saath
mohabbat aap jaisī ho ga.ī hai
tumhārā bag ḳhālī hī rahegā
hamārī jeb ḳhālī ho ga.ī hai
mire alfāz saste ho ga.e haiñ
tirī āvāz mahñgī ho ga.ī hai
baDi gahri KHamoshi ho gai hai
hamari chiKH lambi ho gai hai
wahi jina wahi marna hai lekin
zara tartib ulTi ho gai hai
musalsal rahte rahte aap ke sath
mohabbat aap jaisi ho gai hai
tumhaara bag KHali hi rahega
hamari jeb KHali ho gai hai
mere alfaz saste ho gae hain
teri aawaz mahngi ho gai hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 78)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.