bahut hain shahr mein shair fasana-go fankar
bahut haiñ shahr meñ shā'ir fasāna-go fankār
magar kahāñ hai koī ġham-nasīb kā ġham-ḳhvār
ye dasht-e-ġham kī tapish besh-az-azābannār
na koī chhāñv ghanī hai na sāya-e-dīvār
za-farq-tā-ba-qadam ek mauja-e-mai-e-nāb
takallumash ki baje jaise chāñdnī meñ sitār
baḌī ḳhamoshī se dil chūr-chūr hotā hai
shikast-e-shīsha-o-sāġhar nahīñ jo ho jhankār
tamām raat maiñ ḳhvāboñ meñ jāgtā hī rahā
chaḌhā huā hai in āñkhoñ meñ raat bhar kā ḳhumār
tamām dostoñ kā e'tibār chhīn liyā
us ajnabī ne nahīñ jis se koī qaul-o-qarār
azal kī tishnagī-e-dil ko kar ga.ī sairāb
ye terī narm-nigāhī kī narm narm phuvār
yahāñ to saaz kī maujoñ meñ bazm Duubī hai
sunegā kaun bhalā ik ġharīb dil kī pukār
bahut hain shahr mein sha'ir fasana-go fankar
magar kahan hai koi gham-nasib ka gham-KHwar
ye dasht-e-gham ki tapish besh-az-azabannar
na koi chhanw ghani hai na saya-e-diwar
za-farq-ta-ba-qadam ek mauja-e-mai-e-nab
takallumash ki baje jaise chandni mein sitar
baDi KHamoshi se dil chur-chur hota hai
shikast-e-shisha-o-saghar nahin jo ho jhankar
tamam raat main KHwabon mein jagta hi raha
chaDha hua hai in aankhon mein raat bhar ka KHumar
tamam doston ka e'tibar chhin liya
us ajnabi ne nahin jis se koi qaul-o-qarar
azal ki tishnagi-e-dil ko kar gai sairab
ye teri narm-nigahi ki narm narm phuwar
yahan to saz ki maujon mein bazm Dubi hai
sunega kaun bhala ek gharib dil ki pukar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.