barahna-sar hun ek dastar de de
barahna-sar huuñ ik dastār de de
mire maulā mujhe ghar-bār de de
falak ko chuum lenā chāhtā huuñ
mirī buniyād ko dīvār de de
ġhazal kī aabrū rakhnī hai mujh ko
mire afkār ko me.aar de de
maiñ tujh se baat karnā chāhtā huuñ
zabāñ ko jur.at-e-iz.hār de de
havas ke haath baḌhte jā rahe haiñ
guloñ kī Tahniyoñ ko ḳhaar de de
barahna-sar hun ek dastar de de
mere maula mujhe ghar-bar de de
falak ko chum lena chahta hun
meri buniyaad ko diwar de de
ghazal ki aabru rakhni hai mujh ko
mere afkar ko mear de de
main tujh se baat karna chahta hun
zaban ko jurat-e-izhaar de de
hawas ke hath baDhte ja rahe hain
gulon ki Tahniyon ko KHar de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.