barson aankhon mein rahe aankhon se phir kar dil mein aae
barsoñ āñkhoñ meñ rahe āñkhoñ se phir kar dil meñ aa.e
raah sīdhī thī magar pahuñche baḌe chakkar se aap
kaT ga.e lākhoñ gale is tezi-e-raftār se
ab to chal nikle ziyāda apne bhī ḳhanjar se aap
apne siine se dabā diije zarā siina mirā
chuur kiije shīsha-e-dil ko isī patthar se aap
hazrat-e-zāhid nikal aaya falak par āftāb
pīr-o-murshid ab to uThiye mai-kade ke dar se aap
kyoñ janāb-e-'dāġh' yād-allāh merī yaad hai
bhes badle raat ko aate the kis ke ghar se aap
barson aankhon mein rahe aankhon se phir kar dil mein aae
rah sidhi thi magar pahunche baDe chakkar se aap
kaT gae lakhon gale is tezi-e-raftar se
ab to chal nikle ziyaada apne bhi KHanjar se aap
apne sine se daba dije zara sina mera
chur kije shisha-e-dil ko isi patthar se aap
hazrat-e-zahid nikal aaya falak par aaftab
pir-o-murshid ab to uThiye mai-kade ke dar se aap
kyon janab-e-'dagh' yaad-allah meri yaad hai
bhes badle raat ko aate the kis ke ghar se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.