bas gai dil mein kis ki ranai
bas ga.ī dil meñ kis kī rā'nā.ī
aaj tak mil sakī na tanhā.ī
bārhā tere nā-murādoñ ko
maut āvāz de ke pachhtā.ī
aisī rāteñ bhī ham pe guzrī haiñ
tere pahlū meñ terī yaad aa.ī
jis jagah jā ke phir qadam na uTheñ
vahīñ le chal havā-e-sahrā.ī
dosto mujh ko sangsār karo
ab bhī us but kā huuñ maiñ saudā.ī
mujh se sarkash kā sar jahāñ jhuk jaa.e
us ko zebā hai nāz-e-yaktā.ī
vahī duniyā meñ ik hasīn nahīñ
phir bhī mat pūchh us kī zebā.ī
dil miTā bhī to sādgī pe miTā
haa.e rangīniyoñ ke shaidā.ī
bas gai dil mein kis ki ra'nai
aaj tak mil saki na tanhai
barha tere na-muradon ko
maut aawaz de ke pachhtai
aisi raaten bhi hum pe guzri hain
tere pahlu mein teri yaad aai
jis jagah ja ke phir qadam na uThen
wahin le chal hawa-e-sahrai
dosto mujh ko sangsar karo
ab bhi us but ka hun main saudai
mujh se sarkash ka sar jahan jhuk jae
us ko zeba hai naz-e-yaktai
wahi duniya mein ek hasin nahin
phir bhi mat puchh us ki zebai
dil miTa bhi to sadgi pe miTa
hae ranginiyon ke shaidai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 53)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.