Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aapne qadr kuchh na ki dil ki

Hasrat Mohani

aapne qadr kuchh na ki dil ki

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    aap ne qadr kuchh na dil

    uḌ ga.ī muft meñ hañsī dil

    ḳhū hai az-bas ki āshiqī dil

    ġham se vābasta hai ḳhushī dil

    yaad har haal meñ rahe vo mujhe

    al-ġharaz baat rah ga.ī dil

    mil chukī ham ko un se dād-e-vafā

    jo nahīñ jānte lagī dil

    chain se mahv-e-ḳhvāb-e-nāz meñ vo

    bekalī ham ne dekh dil

    hama-tan sarf-e-hoshyāri-e-ishq

    kuchh ajab shai hai be-ḳhudī dil

    un se kuchh to milā vo ġham sahī

    aabrū kuchh to rah ga.ī dil

    mar miTe ham na ho sakī puurī

    aarzū tum se ek bhī dil

    vo jo bigḌe raqīb se 'hasrat'

    aur bhī baat ban ga.ī dil

    aap ne qadr kuchh na ki dil ki

    uD gai muft mein hansi dil ki

    KHu hai az-bas ki aashiqi dil ki

    gham se wabasta hai KHushi dil ki

    yaad har haal mein rahe wo mujhe

    al-gharaz baat rah gai dil ki

    mil chuki hum ko un se dad-e-wafa

    jo nahin jaante lagi dil ki

    chain se mahw-e-KHwab-e-naz mein wo

    bekali hum ne dekh li dil ki

    hama-tan sarf-e-hoshyari-e-ishq

    kuchh ajab shai hai be-KHudi dil ki

    un se kuchh to mila wo gham hi sahi

    aabru kuchh to rah gai dil ki

    mar miTe hum na ho saki puri

    aarzu tum se ek bhi dil ki

    wo jo bigDe raqib se 'hasrat'

    aur bhi baat ban gai dil ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aapne qadr kuchh na ki dil ki Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now