bhari hui hai dil-e-zar mein hawa-e-qafas
bharī huī hai dil-e-zār meñ havā-e-qafas
chaman meñ jī na lagegā kahīñ sivā.e qafas
tire asīr-e-sitam haiñ ye mubtalā-e-qafas
kabhī na dekheñ sū-e-āshiyāñ sivā.e qafas
gayā na ḳhaar asīrī kā dil se tā-dam-e-marg
hazār phūloñ ke sayyād ne banā.e qafas
asiir ho ke chhuTe fikr-e-āb-o-dāna se
ziyāda kyuuñ na gulistāñ se ham ko bhaa.e qafas
na pūchh shauq-e-amīrī hai kis qadar sayyād
vo andalīb huuñ duuñ naqd-e-jāñ bahā-e-qafas
maiñ huuñ vo bulbul-e-mahv-e-asīrī-e-bedād
rahegī ruuh bhī ba.ad-e-fanā fidā-e-qafas
na bhūlte the kisī tarah āshiyāñ kī yaad
bahut dinoñ meñ huā huuñ maiñ āshnā-e-qafas
sitam bhī lutf se sayyād kā nahīñ ḳhālī
ki band kartā hai phūloñ se raḳhna-hā-e-qafas
'qalaq' na shaad hue kuchh bhī ham rihā ho kar
chaman meñ yaad bahut aa.e āshnā-e-qafas
bhari hui hai dil-e-zar mein hawa-e-qafas
chaman mein ji na lagega kahin siwae qafas
tere asir-e-sitam hain ye mubtala-e-qafas
kabhi na dekhen su-e-ashiyan siwae qafas
gaya na KHar asiri ka dil se ta-dam-e-marg
hazar phulon ke sayyaad ne banae qafas
asir ho ke chhuTe fikr-e-ab-o-dana se
ziyaada kyun na gulistan se hum ko bhae qafas
na puchh shauq-e-amiri hai kis qadar sayyaad
wo andalib hun dun naqd-e-jaan baha-e-qafas
main hun wo bulbul-e-mahw-e-asiri-e-bedad
rahegi ruh bhi baad-e-fana fida-e-qafas
na bhulte the kisi tarah aashiyan ki yaad
bahut dinon mein hua hun main aashna-e-qafas
sitam bhi lutf se sayyaad ka nahin KHali
ki band karta hai phulon se raKHna-ha-e-qafas
'qalaq' na shad hue kuchh bhi hum riha ho kar
chaman mein yaad bahut aae aashna-e-qafas
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.