bigaDti baat hamein hi banani paDti hai
bigaḌtī baat hameñ hī banānī paḌtī hai
isī liye to haqīqat chhupānī paḌtī hai
miyāñ ye 'ishq hai āsāñ nahīñ samajhnā ise
ki is meñ jaañ kī bhī baazī lagānī paḌtī hai
koī bhaTak na sake maarā maarā duniyā meñ
vafā kī raah hameñ hī dikhānī paḌtī hai
hunar kī qadr kahāñ kartā hai jahāñ ab to
yahāñ pe apnī hī qīmat ghaTānī paḌtī hai
mohabbatoñ kā nibhānā kabhī na kam jaano
ki apnī daav pe 'izzat lagānī paḌtī hai
bigaDti baat hamein hi banani paDti hai
isi liye to haqiqat chhupani paDti hai
miyan ye 'ishq hai aasan nahin samajhna ise
ki is mein jaan ki bhi bazi lagani paDti hai
koi bhaTak na sake mara mara duniya mein
wafa ki rah hamein hi dikhani paDti hai
hunar ki qadr kahan karta hai jahan ab to
yahan pe apni hi qimat ghaTani paDti hai
mohabbaton ka nibhana kabhi na kam jaano
ki apni daw pe 'izzat lagani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.