bimar-e-agahi teri wajh-e-shifa hai dil
bīmār-e-āgahī tirī vaj.h-e-shifā hai dil
mushkil-parast 'aql to mushkil-kushā hai dil
TuuTe na koī ḳhvāb to dil koī shai nahīñ
ḳhvāboñ ke TūTne kī khanaktī sadā hai dil
itnī kamī rahī ki farishta na ho sakā
iblīs dil hai aadmī dil hai ḳhudā hai dil
āñdhī havā-e-garm kī duniyā ke moḌ par
aa.e maqām-e-‘ishq to ThanDī havā hai dil
ai kaash ye hayāt bhī hotī isī tarah
har roz pichhle roz ke dil se judā hai dil
jalte ḳhiyām ḳhuun sadā.eñ udāsiyāñ
aur maiñ khaḌā huā huuñ mirī karbalā hai dil
niklā thā kis ko DhūñDne aur kaun mil gayā
aañsū kiye talāsh to mujh ko milā hai dil
bimar-e-agahi teri wajh-e-shifa hai dil
mushkil-parast 'aql to mushkil-kusha hai dil
TuTe na koi KHwab to dil koi shai nahin
KHwabon ke TuTne ki khanakti sada hai dil
itni kami rahi ki farishta na ho saka
iblis dil hai aadmi dil hai KHuda hai dil
aandhi hawa-e-garm ki duniya ke moD par
aae maqam-e-‘ishq to ThanDi hawa hai dil
ai kash ye hayat bhi hoti isi tarah
har roz pichhle roz ke dil se juda hai dil
jalte KHiyam KHun sadaen udasiyan
aur main khaDa hua hun meri karbala hai dil
nikla tha kis ko DhunDne aur kaun mil gaya
aansu kiye talash to mujh ko mila hai dil
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 55)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.