bojh koi sar par lete hain
bojh koī sar par lete haiñ
ik ilzām hī dhar lete haiñ
ham koī naqqād nahīñ haiñ
thoḌī uñglī kar lete haiñ
roza rakhne se kuchh pahle
peT meñ paanī bhar lete haiñ
chhat meñ ik sūrāḳh nahīñ hai
dīvāroñ se dar lete haiñ
pankhe meñ haath aa saktā hai
aur zarā uupar lete haiñ
chalte rahte haiñ ghar baiThe
raste bhar kā Dar lete haiñ
kaafī der se jaag rahe haiñ
ab thoḌā sā mar lete haiñ
dekheñ aañkh patā paatī hai
ḳhvāb se ik manzar lete haiñ
bojh koi sar par lete hain
ek ilzam hi dhar lete hain
hum koi naqqad nahin hain
thoDi ungli kar lete hain
roza rakhne se kuchh pahle
peT mein pani bhar lete hain
chhat mein ek suraKH nahin hai
diwaron se dar lete hain
pankhe mein hath aa sakta hai
aur zara upar lete hain
chalte rahte hain ghar baiThe
raste bhar ka Dar lete hain
kafi der se jag rahe hain
ab thoDa sa mar lete hain
dekhen aankh pata pati hai
KHwab se ek manzar lete hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 90)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.