Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha

Manohar Lal  Hadi

charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha

Manohar Lal Hadi

MORE BYManohar Lal Hadi

    charchā is ek baat dasht-o-daman meñ thā

    kis latīf haath zuhūr-e-chaman meñ thā

    kāñTā thā husn-e-zāt kartā na kyuuñ ḳhalish

    yak-gūna haz-o-lutf bhī lekin chubhan meñ thā

    us shaḳhs ke zamīr ne kar thī ḳhud-kushī

    paudā havas jis tamannā ke ban meñ thā

    sayyāra-e-gunāh saaya jidhar paḌā

    taare siyāh-posh the sūraj gahan meñ thā

    yalġhār kar rahī thī mozāhim pe dam-ba-dam

    kis darja garm ḳhuun anā ke badan meñ thā

    go merī baat par use 'hādī' yaqīñ to thā

    shak-o-gumāñ rañg bhī us ke chalan meñ thā

    charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha

    kis ka latif hath zuhur-e-chaman mein tha

    kanTa tha husn-e-zat ka karta na kyun KHalish

    yak-guna haz-o-lutf bhi lekin chubhan mein tha

    us shaKHs ke zamir ne kar li thi KHud-kushi

    pauda hawas ka jis ki tamanna ke ban mein tha

    sayyara-e-gunah ka saya jidhar paDa

    tare siyah-posh the suraj gahan mein tha

    yalghaar kar rahi thi mozahim pe dam-ba-dam

    kis darja garm KHun ana ke badan mein tha

    go meri baat par use 'hadi' yaqin to tha

    shak-o-guman ka rang bhi us ke chalan mein tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now