dagh us bazm mein mehman kahan jata hai
'dāġh' us bazm meñ mehmān kahāñ jaatā hai
terā allāh nigahbān kahāñ jaatā hai
paañv se mere bayābān kahāñ chhuTtā hai
haath se mere garebān kahāñ jaatā hai
ġhair jaatā thā vahāñ maiñ ne ye kah kar rokā
tujh se kuchh jaan na pahchān kahāñ jaatā hai
hijr ke din kī musībat to guzar jā.egī
vasl kī raat kā ehsān kahāñ jaatā hai
ruuTh kar bazm se uTThā to na rokā mujh ko
na kahā us ne kahā maan kahāñ jaatā hai
band karte ho jo hāthoñ se tum āñkheñ merī
kyā kahūñ maiñ ki mirā dhyān kahāñ jaatā hai
'dāġh' tum ne to baḌī dhuum se kī tayyārī
aaj ye iid kā sāmān kahāñ jaatā hai
'dagh' us bazm mein mehman kahan jata hai
tera allah nigahban kahan jata hai
panw se mere bayaban kahan chhuTta hai
hath se mere gareban kahan jata hai
ghair jata tha wahan main ne ye kah kar roka
tujh se kuchh jaan na pahchan kahan jata hai
hijr ke din ki musibat to guzar jaegi
wasl ki raat ka ehsan kahan jata hai
ruTh kar bazm se uTTha to na roka mujh ko
na kaha us ne kaha man kahan jata hai
band karte ho jo hathon se tum aankhen meri
kya kahun main ki mera dhyan kahan jata hai
'dagh' tum ne to baDi dhum se ki tayyari
aaj ye id ka saman kahan jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.