dam-ba-KHud meri ana teri ada bhi dam-ba-KHud
dam-ba-ḳhud merī anā terī adā bhī dam-ba-ḳhud
tere pahlū meñ rahā maiñ aur rahā bhī dam-ba-ḳhud
dekhiye pahle lahū Tapke ki phaileñ kirchiyāñ
dam-ba-ḳhud terī nazar bhī aa.ina bhī dam-ba-ḳhud
itnā sannāTā ki jaise avvalīñ shām-e-firāq
dam-ba-ḳhud hai āsmāñ bhī aur havā bhī dam-ba-ḳhud
yaad hai tujh ko vo pahle lams kī hiddat ki jab
rah ga.ī thī daf.atan terī hayā bhī dam-ba-ḳhud
ek se aalam meñ donoñ muḳhtalif asbāb se
dam-ba-ḳhud terā karam merī duā bhī dam-ba-ḳhud
aisā lagtā hai ki donoñ se nahīñ nisbat mujhe
dam-ba-ḳhud umr-e-ravāñ sail-e-fanā bhī dam-ba-ḳhud
ḳhauf-e-tajdīd-e-ta.aluq darmiyāñ haa.il rahā
dam-ba-ḳhud terā sitam merā galā bhī dam-ba-ḳhud
yuuñ gumāñ hotā hai donoñ kī tavaqqo.a ek thī
dam-ba-ḳhud terī vafā merī sazā bhī dam-ba-ḳhud
jab khule merī haqīqat tum vo manzar dekhnā
dam-ba-ḳhud nā-āshnā bhī āshnā bhī dam-ba-ḳhud
dam-ba-KHud meri ana teri ada bhi dam-ba-KHud
tere pahlu mein raha main aur raha bhi dam-ba-KHud
dekhiye pahle lahu Tapke ki phailen kirchiyan
dam-ba-KHud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-KHud
itna sannaTa ki jaise awwalin sham-e-firaq
dam-ba-KHud hai aasman bhi aur hawa bhi dam-ba-KHud
yaad hai tujh ko wo pahle lams ki hiddat ki jab
rah gai thi dafatan teri haya bhi dam-ba-KHud
ek se aalam mein donon muKHtalif asbab se
dam-ba-KHud tera karam meri dua bhi dam-ba-KHud
aisa lagta hai ki donon se nahin nisbat mujhe
dam-ba-KHud umr-e-rawan sail-e-fana bhi dam-ba-KHud
KHauf-e-tajdid-e-taluq darmiyan hail raha
dam-ba-KHud tera sitam mera gala bhi dam-ba-KHud
yun guman hota hai donon ki tawaqqoa ek thi
dam-ba-KHud teri wafa meri saza bhi dam-ba-KHud
jab khule meri haqiqat tum wo manzar dekhna
dam-ba-KHud na-ashna bhi aashna bhi dam-ba-KHud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.