daraKHshan ho jo wo mah-zada-e-shab
daraḳhshāñ ho jo vo mah-zāda-e-shab
bikhar jaa.e ġhubār-e-jāda-e-shab
na aa.ī ik shab-e-aish-e-tarab-zā
huā thā vo kabhī āmāda-e-shab
koī lahrā rahā thā apne gesū
miyān-e-zikr-e-mauj-e-bāda-e-shab
na tujh ko dekhte ik shab ḳhirāmāñ
na hote is qadar dildāda-e-shab
kahāñ hai ai mire māh-e-jāvāñ-sāl
bulātī hai nigār-e-sāda-e-shab
daraKHshan ho jo wo mah-zada-e-shab
bikhar jae ghubar-e-jada-e-shab
na aai ek shab-e-aish-e-tarab-za
hua tha wo kabhi aamada-e-shab
koi lahra raha tha apne gesu
miyan-e-zikr-e-mauj-e-baada-e-shab
na tujh ko dekhte ek shab KHiraman
na hote is qadar dildada-e-shab
kahan hai ai mere mah-e-jawan-sal
bulati hai nigar-e-sada-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.