dard-e-dil la-dawa nahin hota
dard-e-dil lā-davā nahīñ hotā
haañ magar hausla nahīñ hotā
ġham ḳhushī rañg zindagī ke haiñ
raat bin din nayā nahīñ hotā
raushnī se chhupāte haiñ chehre
jab añdherā zarā nahīñ hotā
chand yādeñ haiñ kuchh javāñ socheñ
kaun tanhā sadā nahīñ hotā
Thahre paanī to gadle hote haiñ
kyuuñ kahūñ vo judā nahīñ hotā
rahte haiñ ek ghar meñ hī lekin
muddatoñ sāmnā nahīñ hotā
muskurā.ūñ to sab 'umar' hamdam
ġham meñ ik āshnā nahīñ hotā
dard-e-dil la-dawa nahin hota
han magar hausla nahin hota
gham KHushi rang zindagi ke hain
raat bin din naya nahin hota
raushni se chhupate hain chehre
jab andhera zara nahin hota
chand yaaden hain kuchh jawan sochen
kaun tanha sada nahin hota
Thahre pani to gadle hote hain
kyun kahun wo juda nahin hota
rahte hain ek ghar mein hi lekin
muddaton samna nahin hota
muskuraun to sab 'umar' hamdam
gham mein ek aashna nahin hota
- Book : Mohabbat Fana Nahi hoti (Pg. 90)
- Author : Khalid Mahmood Amar
- Publication : Izhar Sons (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.