dasht mein nai hun main
dasht meñ na.ī huuñ maiñ
ret phāñktī huuñ maiñ
tan se jaise daasī huuñ
man se mornī huuñ maiñ
le ke sur parindoñ se
dhun banā rahī huuñ maiñ
āsmāñ ko uupar se
dekhtī rahī huuñ maiñ
raushnī kā chehra huuñ
chāñd kī parī huuñ maiñ
kis qadar añdherā hai
jaise bujh ga.ī huuñ maiñ
hairatoñ kī rim-jhim meñ
ḳhuub nāchtī huuñ maiñ
bādaloñ kī jānib kyoñ
rang pheñktī huuñ maiñ
roz apnī āñkhoñ se
ḳhvāb nochtī huuñ maiñ
maañ tire dupaTTe se
ḳhud ko Dhāñptī huuñ maiñ
dasht mein nai hun main
ret phankti hun main
tan se jaise dasi hun
man se morni hun main
le ke sur parindon se
dhun bana rahi hun main
aasman ko upar se
dekhti rahi hun main
raushni ka chehra hun
chand ki pari hun main
kis qadar andhera hai
jaise bujh gai hun main
hairaton ki rim-jhim mein
KHub nachti hun main
baadalon ki jaanib kyon
rang phenkti hun main
roz apni aankhon se
KHwab nochti hun main
man tere dupaTTe se
KHud ko Dhanpti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.