dekh lo zid pe aDa hai ab tak
dekh lo zid pe aḌā hai ab tak
dil tire saath khaḌā hai ab tak
koī hai kheñch nikāle us ko
dard siine meñ gaḌā hai ab tak
ḳhvāb meñ bhī na dikhā.ī de tū
haa.e kyā qaht paḌā hai ab tak
koī sūrat ho dikhā.ī tū de
tū ki āñkhoñ meñ jaḌā hai ab tak
vo jahāñ tū ne mujhe chhoḌā thā
us jagah peḌ khaḌā hai ab tak
dekh lo zid pe aDa hai ab tak
dil tere sath khaDa hai ab tak
koi hai khench nikale us ko
dard sine mein gaDa hai ab tak
KHwab mein bhi na dikhai de tu
hae kya qaht paDa hai ab tak
koi surat ho dikhai tu de
tu ki aankhon mein jaDa hai ab tak
wo jahan tu ne mujhe chhoDa tha
us jagah peD khaDa hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.