dil dukhon ke hisar mein aaya
dil dukhoñ ke hisār meñ aayā
jabr kab iḳhtiyār meñ aayā
de use bhī faroġh-e-husn kī bhiik
dil bhī lag kar qatār meñ aayā
ḳhuub hai ye ikaa.ī bhī lekin
jo maza intishār meñ aayā
dekhtā hai na pūchhnā hai koī
ajnabī kis dayār meñ aayā
ye to jāneñ muqaddaroñ vaale
kaun kis ke madār meñ aayā
shāḳh par ek phuul bhī 'tābish'
mujh se milne bahār meñ aayā
dil dukhon ke hisar mein aaya
jabr kab iKHtiyar mein aaya
de use bhi farogh-e-husn ki bhik
dil bhi lag kar qatar mein aaya
KHub hai ye ikai bhi lekin
jo maza intishaar mein aaya
dekhta hai na puchhna hai koi
ajnabi kis dayar mein aaya
ye to jaanen muqaddaron wale
kaun kis ke madar mein aaya
shaKH par ek phul bhi 'tabish'
mujh se milne bahaar mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.