dil-e-zaKHmi se KHun ai ham-nashin kuchh kam nahin nikla
dil-e-zaKHmi se KHun ai ham-nashin kuchh kam nahin nikla
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
dil-e-zaḳhmī se ḳhuuñ ai ham-nashīñ kuchh kam nahīñ niklā
taḌapnā thā magar qismat meñ likkhā dam nahīñ niklā
hamesha zaḳhm-e-dil par zahr hī chhiḌkā ḳhayāloñ ne
kabhī in ham-damoñ kī jeb se marham nahīñ niklā
hamārā bhī koī hamdard hai is vaqt duniyā meñ
pukārā har taraf muñh se kisī ke ham nahīñ niklā
tajassus kī nazar se sair-e-fitrat kī jo ai 'akbar'
koī zarra na thā jis meñ ki ik 'ālam nahīñ niklā
dil-e-zaKHmi se KHun ai ham-nashin kuchh kam nahin nikla
taDapna tha magar qismat mein likkha dam nahin nikla
hamesha zaKHm-e-dil par zahr hi chhiDka KHayalon ne
kabhi in ham-damon ki jeb se marham nahin nikla
hamara bhi koi hamdard hai is waqt duniya mein
pukara har taraf munh se kisi ke hum nahin nikla
tajassus ki nazar se sair-e-fitrat ki jo ai 'akbar'
koi zarra na tha jis mein ki ek 'alam nahin nikla
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 88)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.