dil hasraton se jab mera mamur ho gaya
dil hasratoñ se jab mirā ma'amūr ho gayā
pindār kā nasha jo thā kāfūr ho gayā
zāhid jab apne zohd pe maġhrūr ho gayā
maiñ apnī laġhzishoñ kā bhī mashkūr ho gayā
āñkheñ na chiir pā.īñ hudūd-e-nazar kabhī
palkeñ huiiñ jo band to dil tuur ho gayā
jiine kā kyā javāz pas-e-takmila-e-zāt
shāyad shahīd isī liye mansūr ho gayā
fikr-e-suḳhan meñ sarf kī tū ne 'sadā' hayāt
aur baiThe baiThe hī koī mash.hūr ho gayā
dil hasraton se jab mera ma'amur ho gaya
pindar ka nasha jo tha kafur ho gaya
zahid jab apne zohd pe maghrur ho gaya
main apni laghzishon ka bhi mashkur ho gaya
aankhen na chir pain hudud-e-nazar kabhi
palken huin jo band to dil tur ho gaya
jine ka kya jawaz pas-e-takmila-e-zat
shayad shahid isi liye mansur ho gaya
fikr-e-suKHan mein sarf ki tu ne 'sada' hayat
aur baiThe baiThe hi koi mashhur ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.