do-‘alam ki bina kya jaane kya hai
do-‘ālam kī binā kyā jaane kyā hai
nishān-e-mā-sivā kyā jaane kyā hai
haqīqat pūchh gul kī bulbuloñ se
bhalā us ko sabā kyā jaane kyā hai
huā huuñ un kā 'āshiq hai ye ik jurm
magar is kī sazā kyā jaane kyā hai
mire maqsūd-e-dil to bas tumhīñ ho
tumhārā mudda'ā kyā jaane kyā hai
na 'akbar' sā koī nādāñ na zī-hosh
har ik shai ko kahā kyā jaane kyā hai
do-‘alam ki bina kya jaane kya hai
nishan-e-ma-siwa kya jaane kya hai
haqiqat puchh gul ki bulbulon se
bhala us ko saba kya jaane kya hai
hua hun un ka 'ashiq hai ye ek jurm
magar is ki saza kya jaane kya hai
mere maqsud-e-dil to bas tumhin ho
tumhaara mudda'a kya jaane kya hai
na 'akbar' sa koi nadan na zi-hosh
har ek shai ko kaha kya jaane kya hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 55)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.