do qadam wo agar nahin chalta
do qadam vo agar nahīñ chaltā
raushnī kā safar nahīñ chaltā
dil-nagar ke ajiib saude haiñ
is taraf māl-o-zar nahīñ chaltā
maiñ bhī aajiz huā mohabbat meñ
vo bhī sīna-sipar nahīñ chaltā
dil usī samt le ke jaatā hai
shauq se maiñ jidhar nahīñ chaltā
pahle raste ḳhafā the 'mustahsan'
ab mirā ham-safar nahīñ chaltā
do qadam wo agar nahin chalta
raushni ka safar nahin chalta
dil-nagar ke ajib saude hain
is taraf mal-o-zar nahin chalta
main bhi aajiz hua mohabbat mein
wo bhi sina-sipar nahin chalta
dil usi samt le ke jata hai
shauq se main jidhar nahin chalta
pahle raste KHafa the 'mustahsan'
ab mera ham-safar nahin chalta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.