duniya ka zara ye rang to dekh ek ek ko khae jata hai
duniya ka zara ye rang to dekh ek ek ko khae jata hai
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
duniyā kā zarā ye rang to dekh ek ek ko khaa.e jaatā hai
ban-ban ke bigaḌtā jaatā hai aur baat banā.e jaatā hai
insān kī ġhaflat kam na huī qānūn-e-fanā kī 'ibrat se
har gaam pe kitne paañv bhī haiñ aur sar bhī uThā.e jaatā hai
is ko na ḳhabar kuchh us kī hai us ko hai na kuchh parvā is kī
rotā hai rulā.e jaatā hai hañstā hai hañsā.e jaatā hai
kuchh soch nahīñ kuchh hosh nahīñ fitnoñ ke sivā kuchh josh nahīñ
vo luuT ke bhāgā jaatā hai ye aag lagā.e jaatā hai
duniya ka zara ye rang to dekh ek ek ko khae jata hai
ban-ban ke bigaDta jata hai aur baat banae jata hai
insan ki ghaflat kam na hui qanun-e-fana ki 'ibrat se
har gam pe kitne panw bhi hain aur sar bhi uThae jata hai
is ko na KHabar kuchh us ki hai us ko hai na kuchh parwa is ki
rota hai rulae jata hai hansta hai hansae jata hai
kuchh soch nahin kuchh hosh nahin fitnon ke siwa kuchh josh nahin
wo luT ke bhaga jata hai ye aag lagae jata hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 96)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.