barae nam sahi din ke hath pile hain
barā.e naam sahī din ke haath piile haiñ
kahīñ kahīñ pe abhī raushnī ke Tiile haiñ
tamām raat mire ġham kā zahr chūsā hai
isī liye tirī yādoñ ke hoñT niile haiñ
hamāre zabt kī dīvār āhanī na sahī
tumhāre tanz ke neze kahāñ nukīle haiñ
unheñ bhī aaj kī tahzīb chaaT jā.egī
kahīñ kahīñ pe jo simTe hue qabīle haiñ
har ek shaḳhs hai paiġhambarāna soch meñ ġharq
husūl-e-zīst ke shāyad yahī vasīle haiñ
hamārī sāda-mizājī pe rashk karte haiñ
vo sāda-posh jo be-intihā rañgīle haiñ
badan kā loch laboñ kī miThās qurb kā lams
tasavvurāt ke sab zā.iqe rasīle haiñ
ḳhulūs-e-dil se samā'at kā imtihān to lo
ġham-e-hayāt ke naġhme baḌe surīle haiñ
barae nam sahi din ke hath pile hain
kahin kahin pe abhi raushni ke Tile hain
tamam raat mere gham ka zahr chusa hai
isi liye teri yaadon ke honT nile hain
hamare zabt ki diwar aahani na sahi
tumhaare tanz ke neze kahan nukile hain
unhen bhi aaj ki tahzib chaT jaegi
kahin kahin pe jo simTe hue qabile hain
har ek shaKHs hai paighambarana soch mein gharq
husul-e-zist ke shayad yahi wasile hain
hamari sada-mizaji pe rashk karte hain
wo sada-posh jo be-intiha rangile hain
badan ka loch labon ki miThas qurb ka lams
tasawwuraat ke sab zaiqe rasile hain
KHulus-e-dil se sama'at ka imtihan to lo
gham-e-hayat ke naghme baDe surile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.