ek aisa bhi waqt aata hai
ek aisā bhī vaqt aatā hai
saaya dīvār bhuul jaatā hai
chāhiye ham ko duniyā vaalī aañkh
āsmāñ kitnā dekh paatā hai
aisā pahle nahīñ thā mere saath
ghar bahut duur tak bulātā hai
ruuTh kar ham bhī bhuul jaate haiñ
dūsrā bhī nahīñ manātā hai
vo bhañvar to abhī paḌā hī nahīñ
jo kināra bhī saath laatā hai
vo junūñ jis pe naaz thā mujh ko
ab tamāshe ke kaam aatā hai
ek aisa bhi waqt aata hai
saya diwar bhul jata hai
chahiye hum ko duniya wali aankh
aasman kitna dekh pata hai
aisa pahle nahin tha mere sath
ghar bahut dur tak bulata hai
ruTh kar hum bhi bhul jate hain
dusra bhi nahin manata hai
wo bhanwar to abhi paDa hi nahin
jo kinara bhi sath lata hai
wo junun jis pe naz tha mujh ko
ab tamashe ke kaam aata hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 64)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.