ek yan qismat ka apne kunj-e-tanhai mila
ek yaañ qismat kā apne kunj-e-tanhā.ī milā
dūsre jo yaar thā so vo bhī harjā.ī milā
dekhiye kyūñ-kar ho us se dosto sohbat burā
ham to dīvāne hī the par dil bhī saudā.ī milā
ba.ad-e-majnūñ kyuuñ na huuñ maiñ kār-farmā-e-junūñ
ishq kī sarkār se malbūs-e-rusvā.ī milā
jal gayā parvāna jis dam sho.ala-rū aaya ba-bazm
ḳhaak meñ shab sham.a ne dī mahfil-ārā.ī milā
tāla-e-bedār kī minnat uThānī thī vale
us se shab ham ko tamanna ḳhvāb meñ laa.ī milā
apnī qismat meñ azal se thī likhī sar-gashtagī
gard-bād-āsā jo kār-e-dasht-paimā.ī milā
vāh-vā rahmat hai tujh ko aur us ko āfrīñ
raah meñ ban kar asā jo ḳhār-e-sahrā.ī milā
dast-gīrī hī na kī tū ne ki juuñ naqsh-e-qadam
ḳhaak meñ tere liye maiñ ai tavānā.ī milā
ḳhuub sā sīdhā banegā sarv-e-gulshan ai 'nasīr'
us kī ra.anā.ī se gar degā ye zebā.ī milā
ek yan qismat ka apne kunj-e-tanhai mila
dusre jo yar tha so wo bhi harjai mila
dekhiye kyun-kar ho us se dosto sohbat bura
hum to diwane hi the par dil bhi saudai mila
baad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun
ishq ki sarkar se malbus-e-ruswai mila
jal gaya parwana jis dam shoala-ru aaya ba-bazm
KHak mein shab shama ne di mahfil-arai mila
tala-e-bedar ki minnat uThani thi wale
us se shab hum ko tamanna KHwab mein lai mila
apni qismat mein azal se thi likhi sar-gashtagi
gard-baad-asa jo kar-e-dasht-paimai mila
wah-wa rahmat hai tujh ko aur us ko aafrin
rah mein ban kar asa jo KHar-e-sahrai mila
dast-giri hi na ki tu ne ki jun naqsh-e-qadam
KHak mein tere liye main ai tawanai mila
KHub sa sidha banega sarw-e-gulshan ai 'nasir'
us ki ranai se gar dega ye zebai mila
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 106)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.