faqir apna wajud aise sanbhaalte hain
faqir apna wajud aise sanbhaalte hain
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
faqīr apnā vajūd aise sañbhālte haiñ
taḌapte rahte haiñ aur ḳhud ko sañvārte haiñ
na.e jahānoñ kī justujū raas aa ga.ī hai
so kahkashāoñ meñ zindagānī guzārte haiñ
hamārī āñkhoñ meñ bain kartī udāsiyāñ haiñ
tumhāre hoñToñ pe muskurāhaT ke qumqume haiñ
ḳhabar nahīñ niiñd kaise nārāz ho ga.ī hai
hamārī gaThḌī meñ sirf barsoñ ke ratjage haiñ
kisī dilāse kisī tasallī kā aasrā kyā
ham apnā ġhussa bhī apnī had meñ utārte haiñ
faqir apna wajud aise sanbhaalte hain
taDapte rahte hain aur KHud ko sanwarte hain
nae jahanon ki justuju ras aa gai hai
so kahkashaon mein zindagani guzarte hain
hamari aankhon mein bain karti udasiyan hain
tumhaare honTon pe muskurahaT ke qumqume hain
KHabar nahin nind kaise naraaz ho gai hai
hamari gaThDi mein sirf barson ke ratjage hain
kisi dilase kisi tasalli ka aasra kya
hum apna ghussa bhi apni had mein utarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.