firaq-e-dost mein aisa meri wahshat ka saman tha
firāq-e-dost meñ aisā mirī vahshat kā sāmāñ thā
ki vus.at meñ har ik zarra mire ghar kā bayābāñ thā
batā.e shauq-e-dil us bazm meñ jaanā kuchh āsāñ thā
idhar taqdīr sotī thī udhar bedār darbāñ thā
gale mil kar judā honā mire miTne kā sāmāñ thā
tire jaate hī maiñ dīvāna merā ghar bayābāñ thā
junūn-e-ishq rahbar ho to phir kyā qaid manzil kī
vo majnūñ huuñ ki dasht-e-najd mujh ko har bayābāñ thā
maiñ be-ḳhud thā magar ai josh-e-vahshat hosh hai itnā
mire hāthoñ se ḳhud uljhā huā merā garebāñ thā
vatan kī ḳhaak tujh ko yaad kar ke ham bahut ro.e
ki tujh se duur the aur shām-e-ġhurbat thī bayābāñ thā
kisī se apnī barbādī kā shikva kyā karūñ 'sāqib'
ki merā hī dil-e-vārafta merā dushman-e-jāñ thā
firaq-e-dost mein aisa meri wahshat ka saman tha
ki wusat mein har ek zarra mere ghar ka bayaban tha
batae shauq-e-dil us bazm mein jaana kuchh aasan tha
idhar taqdir soti thi udhar bedar darban tha
gale mil kar juda hona mere miTne ka saman tha
tere jate hi main diwana mera ghar bayaban tha
junun-e-ishq rahbar ho to phir kya qaid manzil ki
wo majnun hun ki dasht-e-najd mujh ko har bayaban tha
main be-KHud tha magar ai josh-e-wahshat hosh hai itna
mere hathon se KHud uljha hua mera gareban tha
watan ki KHak tujh ko yaad kar ke hum bahut roe
ki tujh se dur the aur sham-e-ghurbat thi bayaban tha
kisi se apni barbaadi ka shikwa kya karun 'saqib'
ki mera hi dil-e-warafta mera dushman-e-jaan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.