gham kisi ghair ka bekar nahin karna hai
ġham kisī ġhair kā bekār nahīñ karnā hai
yuuñ tamāshā sar-e-bāzār nahīñ karnā hai
lan-tarānī kī sadā bhī unheñ denī na paḌe
ham hī kah dete haiñ dīdār nahīñ karnā hai
be-gunāhī kā mire raaz na khulne paa.e
koī hangāma sar-e-dār nahīñ karnā hai
yā'nī daasī ke liye shaah banegā dushman
kyā kahā bai'at-e-sardār nahīñ karnā hai
mujh se kahtā hai mirī baat karo logoñ se
ye bhī kahtā hai lagātār nahīñ karnā hai
kam se kam yaad rahe un se ulajh kar ham ko
āḳhirī rāsta dushvār nahīñ karnā hai
tū bhī jaane hai maiñ munkir huuñ ka.ī chīzoñ kā
par tirī zaat kā inkār nahīñ karnā hai
gham kisi ghair ka bekar nahin karna hai
yun tamasha sar-e-bazar nahin karna hai
lan-tarani ki sada bhi unhen deni na paDe
hum hi kah dete hain didar nahin karna hai
be-gunahi ka mere raaz na khulne pae
koi hangama sar-e-dar nahin karna hai
ya'ni dasi ke liye shah banega dushman
kya kaha bai'at-e-sardar nahin karna hai
mujh se kahta hai meri baat karo logon se
ye bhi kahta hai lagatar nahin karna hai
kam se kam yaad rahe un se ulajh kar hum ko
aaKHiri rasta dushwar nahin karna hai
tu bhi jaane hai main munkir hun kai chizon ka
par teri zat ka inkar nahin karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.