Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa apne dil mein meri tamanna liye hue

Seemab Akbarabadi

aa apne dil mein meri tamanna liye hue

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    aa apne dil meñ merī tamannā liye hue

    shauq-e-kalām o zauq-e-tamāshā liye hue

    dil le ke ḳhud ko rahte haiñ kyā kyā liye hue

    shīshe vahī to haiñ mirī duniyā liye hue

    mahrūmiyoñ pe dil miTā rahā huuñ maiñ

    hai ḳhaak terā naqsh-e-kaf-e-pā liye hue

    tārīki-e-fazā shikāyat-guzār huuñ

    siine meñ āftāb-e-suvaidā liye hue

    pahle mire sahāre pe thā kār-o-bār-e-zīst

    ab maiñ huuñ zindagī sahārā liye hue

    chāhtā hai umr-e-mohabbat na ḳhatm ho

    mar jā.iye kisī tamannā liye hue

    apnā vaqār-e-ishq kabhī aazmā ke dekh

    hogī jabīn-e-husn bhī sajda liye hue

    ḳhush huuñ ki jaise god meñ hai lāl-e-shab-charāġh

    dāman meñ apne lāla-e-sahrā liye hue

    nāsh-e-ravāñ huuñ ziist hai merī fareb-e-zīst

    phirtā huuñ zindagī janāza liye hue

    josh-e-junūñ meñ ālam-vāraftagī na pūchh

    sahrā se ham guzar ga.e sahrā liye hue

    sar un ke āstāñ pe jo pahuñche to ho yaqīñ

    saudā liye hue hai ki sajda liye hue

    ham tuur par ga.e bhī to is shaan se ga.e

    muusā khaḌe rahe yad-e-baizā liye hue

    ai husn mere haal meñ bhī sharīk ho

    donoñ jahāñ baar huuñ tanhā liye hue

    be-parda be-ta.ayyun o be-nām dekh use

    vo to hai sirf naam pardā liye hue

    'sīmāb' qadr-dāñ haiñ mire ḳhān-e-jānsaTh

    hāzir huā huuñ fikr hadiyā liye hue

    aa apne dil mein meri tamanna liye hue

    shauq-e-kalam o zauq-e-tamasha liye hue

    dil le ke KHud ko rahte hain kya kya liye hue

    shishe wahi to hain meri duniya liye hue

    mahrumiyon pe dil ki miTa ja raha hun main

    hai KHak tera naqsh-e-kaf-e-pa liye hue

    tariki-e-faza ka shikayat-guzar hun

    sine mein aaftab-e-suwaida liye hue

    pahle mere sahaare pe tha kar-o-bar-e-zist

    ab main hun zindagi ka sahaara liye hue

    ji chahta hai umr-e-mohabbat na KHatm ho

    mar jaiye kisi ki tamanna liye hue

    apna waqar-e-ishq kabhi aazma ke dekh

    hogi jabin-e-husn bhi sajda liye hue

    KHush hun ki jaise god mein hai lal-e-shab-charagh

    daman mein apne lala-e-sahra liye hue

    nash-e-rawan hun zist hai meri fareb-e-zist

    phirta hun zindagi ka janaza liye hue

    josh-e-junun mein aalam-waraftagi na puchh

    sahra se hum guzar gae sahra liye hue

    sar un ke aastan pe jo pahunche to ho yaqin

    sauda liye hue hai ki sajda liye hue

    hum tur par gae bhi to is shan se gae

    musa khaDe rahe yad-e-baiza liye hue

    ai husn mere haal mein tu bhi sharik ho

    donon jahan ka bar hun tanha liye hue

    be-parda be-tayyun o be-nam dekh use

    wo to hai sirf nam ka parda liye hue

    'simab' qadr-dan hain mere KHan-e-jaansaTh

    hazir hua hun fikr ka hadiya liye hue

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aa apne dil mein meri tamanna liye hue Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now